اردو हिंदी
Dariya ko apne panw ki kashti se par kar | Shaahi Shayari
dariya ko apne panw ki kashti se par kar

Ghazal

Dariya ko apne panw ki kashti se par kar

Rasheed Nisar

;

dariya ko apne panw ki kashti se par kar
maujon ke raqs dekh le KHud ko utar kar

suraj tere tawaf ko niklega raat-din
tu aap waqt hai tu na lamhe shumar kar

habil teri zat mein qabil hai magar
apne lahu ko bech de KHwahish ko mar kar

ashkon ke dip bik gae bazar mein to kya
ahd-e-garan mein apne pasine se pyar kar

ek aur karbala hai tere dar ke samne
apne lahu ko jit le bazi ko haar kar

ek nasl ka wajud lahu ke numu mein hai
kuchh der KHwab dekh zara intizar kar