اردو हिंदी
Dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar | Shaahi Shayari
dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar

Ghazal

Dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar

Hassan Ahmad Awan

;

dariya ki taraf dekh lo ek bar mere yar
ek mauj ki kahti hai mere yar mere yar

virani-e-gulshan pe hi mamur hai mausam
miTTi se nikalte nahin ashjar mere yar

kya KHak kisi ghair pe dil ko ho bharosa
apne bhi hue jate hain aghyar mere yar

maqtal si faza rahti hai is mulk mein har dam
dekhe hain kai manzar-e-KHun-bar mere yar

hum KHak-nashinon ki yahan kaun sunega
unche hain bahut KHwab ke darbar mere yar

dekho ye chalan Thik nahin ishq mein hargiz
wade se mukar jate ho har bar mere yar

do chaar hi alfaz mohabbat se bhare hon
to dasht ko kar dete hain gulzar mere yar

'hassan'-e-jawan KHub teri mashq-e-suKHan hai
har rose kahe jate ho ashaar mere yar