اردو हिंदी
Dariya ka chaDhaw bandh lena | Shaahi Shayari
dariya ka chaDhaw bandh lena

Ghazal

Dariya ka chaDhaw bandh lena

Zakauddin Shaya.n

;

dariya ka chaDhaw bandh lena
sailab mein naw bandh lena

shahron ke ghubar uD rahe hain
sahra ki hawao bandh lena

barish mein phira hun shab hui hai
zulfon ki ghaTao bandh lena

zaKHmon ki numaishen nahin KHub
ye zist ke ghaw bandh lena

aamada-e-sarkashi hain jazbaat
mere qarib aao bandh lena

aalam ki ragen si TuTti hain
jismon ke khinchaw bandh lena

kyun ruKH pe hawaiyan uDi hain
phir hum se lagaw bandh lena