dariya hain phir bhi milte nahin mujh se yar log
jurat kahan ki sahra se hon ham-kanar log
jadu faza ka tha ki hawa mein mila tha zahr
patthar hue jahan the wahin be-shumar log
ab saya o samar ki tawaqqo kahan ruke
sukhe hue shajar hain sar-e-rahguzar log
dahshat khuli faza ki qayamat se kam na thi
girte hue makanon mein aa baiThe yar log
ek dusre ka haal nahin puchhta koi
ek dusre ki maut pe hain sharmsar log
suraj chaDha to pighli bahut choTiyon ki barf
aandhi chali to ukhDe bahut saya-dar log
Ghazal
Dariya hain phir bhi milte nahin mujhse yar log
Manzar Saleem