dariya-e-tund-mauj ko sahra bataiye
sidha bhi ho sawal to ulTa bataiye
jaisa bhi hai wo samne sab ke hai kis liye
aisa bataiye use waisa bataiye
kyun chhoD kar gaya tha wo kyun phir se aa gaya
aage bata bhi sakte the ab kya bataiye
mahfil ki raunaqen hon ki bazar ka hujum
ye dil jahan bhi ho ise tanha bataiye
ya qatl kijiye use apne hi nam par
ya ajnabi ko shahr ka rasta bataiye
jis ki kabhi jhalak bhi na dekhi ho umr bhar
tu hi bata 'zafar' use kaisa bataiye
Ghazal
Dariya-e-tund-mauj ko sahra bataiye
Zafar Iqbal