dariya-e-shab ke par utare mujhe koi
tanhai Das rahi hai pukare mujhe koi
go jaanta hun sab hi nishane pe hain yahan
pagal hun chahta hun na mare mujhe koi
muTThi sadaf ne bhench rakhi hai ki chhu ke dekh
moti pukarta hai ubhaare mujhe koi
kanTon mein rakh ke phul hawa mein uDa ke KHak
karta hai sau tarah se ishaare mujhe koi
ab tak to KHud-kushi ka irada nahin kiya
milta hai kyun nadi ke kinare mujhe koi
bikhra hua hun waqt ke shane pe gard sa
ek zulf-e-pur-shikan hun sanware mujhe koi
Ghazal
Dariya-e-shab ke par utare mujhe koi
Muzaffar Hanfi