dariya-e-mohabbat mein maujen hain na dhaara hai
yun shauq-e-maraatib ne pasti mein utara hai
is shahar-e-taghaful mein hum kis ko kahen apna
wo shahr jo duniya mein kahne ko hamara hai
aaankhon mein kabhi the ab, hathon mein hain bachchon ke
suraj hai ki chanda hai, jugnu hai ki tara hai
wo husn-e-mujassam jab guzra hai chaman se tab
KHud apna sarapa bhi phulon ne sanwara hai
aa jate ho kyun aaKHir yun KHwab nae le kar
is shahr-e-tazabzub mein kya hai jo tumhaara hai
marub huin qadren jab apni yahan, hum ne
maghrib ke darichon se mashriq ko ubhaara hai
ab jaen to pahchane shayad hi wahan koi
wo des jahan hum ne ek arsa guzara hai
nale to kahin aahen, ek hashr sa hai har su
hai kaun jo duniya se is tarah sidhaara hai
hum rahne lage 'KHalid' KHwabon ke jaziron mein
puchha tha kabhi us ne kya nam tumhaara hai

Ghazal
Dariya-e-mohabbat mein maujen hain na dhaara hai
Quaiser Khalid