dariya-dili se abr-e-karam bhi nahin mila
lekin mujhe nasib se kam bhi nahin mila
phir ungliyon ko KHun mein Dubona paDa hamein
jab hum ko mangne pe qalam bhi nahin mila
sach bolne ki rah mein tanha hamin mile
is raste mein shaiKH-e-haram bhi nahin mila
main ne to sari umr nibhai hai dosti
wo mujh se kha ke meri qasam bhi nahin mila
dil ko KHushi bhi had se ziyaada nahin mili
kase ke e'tibar se gham bhi nahin mila
Ghazal
Dariya-dili se abr-e-karam bhi nahin mila
Munawwar Rana