darida-jaib gareban bhi chaak chahta hai
wo ishq kya hai jo daman ko pak chahta hai
mere ghamon se sarokar bhi wo rakkhega
meri KHushi mein jawab ishtirak chahta hai
phir aaj shart lagai hai dil ne wahshat se
phir aaj daman-e-ehsas pak chahta hai
wo tang aa ke zamane ki sard-mehri se
talluqat mein phir se tapak chahta hai
tamam umr raha KHud tabah-haal magar
nasib bachchon ka wo tabnak chahta hai
ajib nazron se takta hai wo dukanon ko
gharib bachchi ki KHatir frock chahta hai
baghair KHun kiye dil ko kuchh nahin milta
koi bhi fan ho 'zaki' inhimak chahta hai
Ghazal
Darida-jaib gareban bhi chaak chahta hai
Zaki Tariq