darichon mein charaghon ki kami mahsus hoti hai
yahan to phir hawa ki barhami mahsus hoti hai
wo ab bhi guftugu karta hai pahle ki tarah lekin
zara si barf lahje mein jami mahsus hoti hai
tere wade ka saya ho to sahra ke safar mein bhi
jhulasti lau hawa-e-shabnami mahsus hoti hai
to kya main zabt ke mear par pura nahin utra
to kya meri in aankhon mein nami mahsus hoti hai
na jaane teri haalat kya hai us ko dekh kar 'azhar'
mujhe to dil ki dhaDkan bhi thami mahsus hoti hai
Ghazal
Darichon mein charaghon ki kami mahsus hoti hai
Azhar Adeeb