dariche so gae shab jagti hai
mere kamre mein kaisi KHamushi hai
jidhar dekho fasurda zindagi hai
mujhe lagta hai ye gham ki sadi hai
jo raston mein bhaTakti phir rahi hai
ise pahchan fikr-e-zindagi hai
samundar ka tamawwuj abr-o-baran
zamin ke dil mein phir bhi tishnagi hai
har ek lamha hamara KHun-e-taza
mohabbat jonk ban kar chusti hai
ye sannaTa ye tanhai ye kamra
KHayalon mein chuDail ab nachti hai
main 'nayyar' kya dikhaun zaKHm dil ka
kisi ki aankh KHud nam ho gai hai
Ghazal
Dariche so gae shab jagti hai
Azhar Naiyyar