daricha aaine par khul raha hai
mujhe apne se bahar jhankna hai
akela TuTi kashti par khaDa hun
kinara dur hota ja raha hai
use pahchanna aasan nahin jo
hawa ka rang pani ka maza hai
kahin andar hi TuTe honge alfaz
abhi tak tera lahja chubh raha hai
wo apne doston ke darmiyan hai
ya mere dushmanon mein ghir gaya hai
kisi ne aaine par honT rakh kar
achanak shauq ko bhaDka diya hai
KHuda-e-lam-yazal tere liye to
jo hona tha wo goya ho chuka hai
wo kaise aazmaega kisi ko
jo pahle hi se sab kuchh jaanta hai
Ghazal
Daricha aaine par khul raha hai
Shahnawaz Zaidi