اردو हिंदी
Dare hue hain sabhi log abr chhane se | Shaahi Shayari
Dare hue hain sabhi log abr chhane se

Ghazal

Dare hue hain sabhi log abr chhane se

Azhar Faragh

;

Dare hue hain sabhi log abr chhane se
wo aai baam pe kya dhup ke bahane se

wo qissa-go to bahut jald-baz aadmi tha
bahut si lakDiyan hum rah gae jalane se

nazar to Dal rawani ki istaqamat par
ye aabshaar hai kohsar ke gharane se

mosafiran-e-mohabbat mujhe muaf karen
main baz aaya unhen rasta dikhane se

agar main aaKHiri bazi na khelta 'azhar'
to KHali hath na aata qimar-KHane se