اردو हिंदी
Dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho | Shaahi Shayari
dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho

Ghazal

Dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho

Akbar Allahabadi

;

dard to maujud hai dil mein dawa ho ya na ho
bandagi haalat se zahir hai KHuda ho ya na ho

jhumti hai shaKH-e-gul khilte hain ghunche dam-ba-dam
ba-asar gulshan mein tahrik-e-saba ho ya na ho

wajd mein late hain mujh ko bulbulon ke zamzame
aap ke nazdik ba-mani sada ho ya na ho

kar diya hai zindagi ne bazm-e-hasti mein sharik
us ka kuchh maqsud koi muddaa ho ya na ho

kyun ciwil-surgeon ka aana rokta hai ham-nashin
is mein hai ek baat honour ki shifa ho ya na ho

maulwi sahib na chhoDenge KHuda go baKHsh de
gher hi lenge police wale saza ho ya na ho

membari se aap par to warnish ho jaegi
qaum ki haalat mein kuchh is se jila ho ya na ho

mo'tariz kyun ho agar samjhe tumhein sayyaad dil
aaise gesu hun to shubah dam ka ho ya na ho