dard tera mere sine se nikala na gaya
ek muhajir ko madine se nikala na gaya
main tere sath guzare hue din jita raha
ek pal bhi tujhe jine se nikala na gaya
ek moti bhi na ubhra meri aankhon mein kabhi
tere bin kuchh bhi dafine se nikala na gaya
jab nikala hai mujhe dil se to rote kyun ho
tum se kanTa bhi qarine se nikala na gaya
luqma-e-tar na milega tere nazuk tan ko
gar mere KHun pasine se nikala na gaya
main ne manga tha bas ek dhup ka TukDa 'azim'
wo bhi sawan ke mahine se nikala na gaya
Ghazal
Dard tera mere sine se nikala na gaya
Ainuddin Azim