dard-shanas dil nahin jalwa-talab nazar nahin
hadsa kitna saKHt hai un ko abhi KHabar nahin
aur baDhega dard-e-dil raat jo bhig jaegi
dekh na waqt ki taraf waqt bhi chaaragar nahin
kis ko KHabar ki hum se kab aap nigah pher len
nashsha to dhup chhanw hai baada bhi mo'tabar nahin
hum to KHizan ki dhup mein KHun-e-jigar chhiDak chale
mausam-e-gul ki chandni kis ko mile KHabar nahin
dil ke talluqat se kaun sa dil ko chain hai
aao kisi se toD len rishta-e-dil magar nahin
ishq pe kaisa dukh paDa husn pe kya guzar gai
aaj gali udas hai aaj wo baam par nahin
dil se 'shamim' guftugu dekhiye kab talak chale
raat bhi muKHtasar nahin baat bhi muKHtasar nahin
Ghazal
Dard-shanas dil nahin jalwa-talab nazar nahin
Shamim Karhani