dard shayan-e-shan-e-dil bhi nahin
aur shab-e-hijr mustaqil bhi nahin
yun gale mil ke faeda kya hai
zaKHm andar se mundamil bhi nahin
wasl bhi hai firaq bhi is mein
mausam-e-ishq moatadil bhi nahin
har kisi se ye mel kyun khae
dil to phir dil hai aab-o-gil bhi nahin
soch hai kuchh haqiqaten kuchh hain
KHwab-e-tabir muttasil bhi nahin
ab bhi jari hai raqs miTTi ka
sans ke tar muzmahil bhi nahin
hum jo ruThe hain jaan se 'zakir'
rabt TuTa hai munfasil bhi nahin
Ghazal
Dard shayan-e-shan-e-dil bhi nahin
Zakir Khan Zakir