dard sare shab-e-KHamosh mein gir jate hain
ashk jahil hain mere hosh mein gir jate hain
bandagi hum ne tabiat mein wo pai hai ki bas
sar KHudaon ke kai dosh mein gir jate hain
jaane laghzish ko hamari sukun aaega kahan
dar se uThte hain to aaghosh mein gir jate hain
tere kuche se guzarte hue KHushiyon ke qadam
tez chalte hain magar josh mein gir jate hain
itne shatir hain yahan log kisi gulchin se
gul bachate hue gul-posh mein gir jate hain
mai-kade se jo nikalti hai KHamoshi 'rajnish'
lab wahin saghar-e-mai-nosh mein gir jate hain

Ghazal
Dard sare shab-e-KHamosh mein gir jate hain
Rajneesh Sachan