dard-o-gham zamane ke aur ek ji tanha
aandhiyon mein jalti hai sham-e-zindagi tanha
apni apni rahen hain apni apni manzil hai
kar-gah-e-hasti mein rahte hain sabhi tanha
shab se dagh-e-hijran ka wasta ajab shai hai
teri dilkashi tanha meri bekali tanha
hae us zamane mein ahl-e-fan ki be-qadri
mausam-e-zamistan mein jaise chandni tanha
jaane dil ki dhaDkan mein kya fareb hota hai
tujh se baat karte hain hum kabhi kabhi tanha
rahguzar pe sajti hai apni bazm-e-tanhai
teri naqsh-e-pa tanha meri be-KHudi tanha
husn-o-ishq ki taqdir ek tazad baham hai
un ki sham bhi mahfil apni subh bhi tanha
kaun kis ki sunta hai aise daur mein 'KHawar'
hum ne dur chheDi hai gham ki ragni tanha
Ghazal
Dard-o-gham zamane ke aur ek ji tanha
Rafiq Khawar Jaskani