dard-o-gham ko hasti-e-kam-maya ka hasil samajh
dars-gah-e-ishq ki ye ramz ai ghafil samajh
justuju-dar-justuju aasan har mushkil samajh
gham na kar tadbir ko taqdir ka hasil samajh
bhul kar bhi koi harf-e-dil-shikan lab par na la
haq to ye hai dusre ke dil ko apna dil samajh
rah-e-ulfat mein jise gum-gashtagi hasil hui
aise KHush-taqdir ko aasuda-e-manzil samajh
lazzat-e-lutf-o-tarab gham-ashna rahne mein hai
jaan ko har haal mein aazar ke qabil samajh
pa-e-istiqlal mein laghzish na aa jae kahin
azm-e-rasiKH hi ko apna rahbar-e-kaamil samajh
ahd-e-mazi ko na ro taqdir ka matam na kar
haal ki rudad hi ko apna mustaqbil samajh
baryabi hosh ki bazi laga dene mein hai
bargah-e-husn mein hushiyar ko ghafil samajh
naKHuda to kya KHuda ka bhi sahaara chhoD de
qulzum-e-hasti mein har girdab ko sahil samajh
ab zamana bar-e-ehsan sar pe lene ka nahin
ruKH zamane ki hawa ka dekh ai ghafil samajh
bagh-e-alam ki bahaaren sab KHizan-anjam hain
aish-samani ko wajh-e-KHastagi-e-dil samajh
ya tariq-e-dost-dari par bharosa hi na kar
ya fareb-e-dosti ke sehr ko baatil samajh
imtiyaz-e-jalwa-o-parda jahan rahta nahin
wo maqam aae to zauq-e-did ko kaamil samajh
kyun kisi begana-wash par dil fida karta hai tu
ai 'rishi' kuchh hosh mein aa apne dil ko dil samajh
Ghazal
Dard-o-gham ko hasti-e-kam-maya ka hasil samajh
Rishi Patialvi