dard mein lazzat bahut ashkon mein ranai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniya pasand aai bahut
ho na ho dasht-o-chaman mein ek talluq hai zarur
baad-e-sahrai bhi KHushbu mein uTha lai bahut
maslahat ka jabr aisa tha ki chup rahna paDa
warna uslub-e-zamana par hansi aai bahut
be-sahaaron ki mohabbat be-nawaon ka KHulus
aah ye daulat ki insanon ne Thukrai bahut
be-KHayali mein bhi kitne fasle tai ho gae
be-irada bhi ye duniya dur le aai bahut
apni fitrat mein bhi raushan honge lekin ai 'zamir'
meri raaton se bhi taron ne chamak pai bahut
Ghazal
Dard mein lazzat bahut ashkon mein ranai bahut
Syed Zameer Jafri