اردو हिंदी
Dard-mandon se na puchho ki kidhar baiTh gae | Shaahi Shayari
dard-mandon se na puchho ki kidhar baiTh gae

Ghazal

Dard-mandon se na puchho ki kidhar baiTh gae

Meer Shamsuddeen Faqeer

;

dard-mandon se na puchho ki kidhar baiTh gae
teri majlis mein ghanimat hai jidhar baiTh gae

hai gharaz did se yan kaam takalluf se nahin
KHwah idhar baiTh gae KHwah udhar baiTh gae

dekha howega mere ashk ka tufan tum ne
lakh diwar gire sainkaDon ghar baiTh gae

kis nazar-naz ne us baz ko baKHshi parwaz
sainkaDon murgh hawa phand ke par baiTh gae

kam hai aawaz tere kuche ke bashindon ki
nala karne se gale un ke magar baiTh gae

muft uThne ke nahin yar ke kuche se 'faqir'
jab ki bistar ko jama khol kamar baiTh gae