اردو हिंदी
Dard kuchh din to mehman Thahre | Shaahi Shayari
dard kuchh din to mehman Thahre

Ghazal

Dard kuchh din to mehman Thahre

Javed Akhtar

;

dard kuchh din to mehman Thahre
hum ba-zid hain ki mezban Thahre

sirf tanhai sirf virani
ye nazar jab uThe jahan Thahre

kaun se zaKHm par paDaw kiya
dard ke qafile kahan Thahre

kaise dil mein KHushi basa lun main
kaise muTThi mein ye dhuan Thahre

thi kahin maslahat kahin jurat
hum kahin in ke darmiyan Thahre