dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi
maut aaegi to ai hamdam shifa ho jaegi
hogi jab nalon ki apne zer gardun baz-gasht
mere dard-e-dil ki shohrat ja-ba-ja ho jaegi
ku-e-jaanan mein use hai sajda-rezi ka jo shauq
meri peshani rahin-e-naqsh-e-pa ho jaegi
kakul-e-pechan haTa kar ruKH se aao samne
parda-dar-e-husn mahfil mein ziya ho jaegi
jab ye samjhunga ki meri zist hai mamnun-e-marg
maut meri zindagi ka aasra ho jaegi
intizar-e-wasl karna umr bhar mumkin to hai
go nahin malum haalat kya se kya ho jaegi
mohtasib aur hum hain donon muttafiq is bab mein
barmala jo mai-kashi ho be-riya ho jaegi
main abhi se jaan de dunga jo rah-e-ishq mein
intiha majnun ki meri ibtida ho jaegi
fash raaz-e-dil nahin karta magar ye Dar to hai
be-KHudi mein aah lab se aashna ho jaegi
baryab-e-KHwab-gah-e-naz hone do use
un ki zulfon mein pareshan KHud saba ho jaegi
maqsad-e-ulfat ko kar lo pahle 'shaida' dil-nashin
warna har aah-o-fughan be-muddaa ho jaegi
Ghazal
Dard ko rahne bhi de dil mein dawa ho jaegi
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida