dard ko dard kaho dard ke qabil ho jao
aisa bhi kya hai ki KHud dil hi se ghafil ho jao
tum ko tufan se laDna jo nahin hai manzur
phir to behtar hai ki kashti nahin sahil ho jao
imtihan ishq mein hona hai to hoga wo zarur
aag ke khel mein pahle hi se shamil ho jao
is se pahle ki kisi aur ka main ho jaun
main tumhein zahr dun aur tum mere qatil ho jao
lau charaghon ki baDhane se nahin kuchh hasil
nur ban ke shab-e-zulmat pe nazil ho jao
saikDon tajrabe be-kar kiya karte ho
ho mere dard mein shamil to mera dil ho jao
shor barpa hai ki nikle ho talash-e-gham mein
maKHzan-e-gham hai mera dil yahin daKHil ho jao
ahmaqon se jo kabhi wasta paD jae 'sadaf'
baat karne se kahin achchha hai jahil ho jao
Ghazal
Dard ko dard kaho dard ke qabil ho jao
Mushtaq Sadaf