اردو हिंदी
Dard ki sakit nadi phir se rawan hone ko hai | Shaahi Shayari
dard ki sakit nadi phir se rawan hone ko hai

Ghazal

Dard ki sakit nadi phir se rawan hone ko hai

Arshad Kamal

;

dard ki sakit nadi phir se rawan hone ko hai
mauj-e-hairat ka tamasha ab kahan hone ko hai

jo giran-bar-e-samaat tha kabhi sab ke liye
ab wahi kalima yahan husn-e-bayan hone ko hai

kyun karen wo apni qismat ke sitare ki talash
dastaras mein jin ke sara aasman hone ko hai

mujh ko us manzil se guzre kitni muddat ho gai
waqt meri justuju mein ab jahan hone ko hai

tajarbe ki aanch par har shai hai yun aatash-bajaan
chandni bhi surat-e-barq-e-tapan hone ko hai

aasman tirshul aur ghauri se hai sahma hua
faKHta ka zikr aise mein kahan hone ko hai

ghar mein hai aab-e-rawan to barf hai manjdhaar mein
kuchh na puchho dahr mein ab kya kahan hone ko hai