dard ki lai ko baDha do ki main zinda hun abhi
aur is dil ko dukha do ki main zinda hun abhi
mere ehsas ki ye baDh to rukne se rahi
mujh ko diwana bana do ki main zinda hun abhi
karb-e-tanhai ka nashtar rag-e-jaan mein rakh do
mujh ko ehsas dila do ki main zinda hun abhi
hausla jine ka hota hai par itna bhi nahin
mujh ko is ki bhi saza do ki main zinda hun abhi
aarzu ek alamnak kahani hi sahi
phir se ek bar suna do ki main zinda hun abhi
saya ban kar main salibon se utar aaya hun
ab koi aur saza do ki main zinda hun abhi
ju-e-KHun aankhon se bahti hi rahegi 'tanwir'
aaKHiri shama bujha do ki main zinda hun abhi
Ghazal
Dard ki lai ko baDha do ki main zinda hun abhi
Tanveer Ahmad Alvi