dard ki KHushbu se sara ghar moattar ho gaya
zaKHm kha kha kar badan phulon ka paikar ho gaya
mail-e-parwaz har lahza hai murgh-e-justuju
main jo siDhi par chaDha wo aur upar ho gaya
gauhar-e-ummid laen kis athah mein Dub kar
hum jo ghota-zan hue gahra samundar ho gaya
tirchhe suraj ki shuaen de gain ek ham-safar
mera saya hi mere qad ke barabar ho gaya
hum shafaq ko dekh kar tarikiyon mein kho gae
aag chhat par thi dhuan kamre ke andar ho gaya
peD par baiThe parindon par guman patton ka tha
dam-zadan mein aankh se ojhal wo manzar ho gaya
subh ka aaghaz tha aur chehre par thi gard-e-shab
phul ki surat shagufta main naha kar ho gaya
main samajhta tha taaqub mein faqat hain wahme
lauT kar dekha magar jis ne bhi patthar ho gaya
sang pani mein gira kar dekh lo ubhregi lahr
baat aisi thi ki main aape se bahar ho gaya
jin daraKHton ki ghani chhanw thi wo sab kaT gae
yun laga 'shahid' mujhe jaise main be-ghar ho gaya
Ghazal
Dard ki KHushbu se sara ghar moattar ho gaya
Saleem Shahid