dard ki jot mere dil mein jagane wale
rose paigham naya de ke rulane wale
kaise likh dun main tere nam fasana koi
beach manjdhaar mein kushti ko Dubane wale
na koi aks na zangar raha mere liye
ruh ke shishe ko shaffaf banane wale
kya nahin likkha nigahon ko rahin-e-jalwa
apni tahrir se taqdir sajaane wale
misl-e-parwana taDapne ke liye chhoD diya
sham-e-gumnam se jazbon ko jalane wale
kisi tabir ko takmil to pa jaane de
KHwab har rose naya mujh ko dikhane wale
azm-e-mohkam liye main pesh nazar aai hun
tir alfaz ka be-KHauf chalane wale
waqt ab bhi hai sambhal jao ye duniya hai fareb
pyar ke Dhong mein logon ko phansane wale
waqt ab dur nahin hai ki uThe shor-e-ghazab
gham ke sailab mein duniya ko bahane wale
Ghazal
Dard ki jot mere dil mein jagane wale
Asra Rizvi