dard ki ek kitab hai koi
zindagi izitirab hai koi
tirgi ki ada batati hai
danw par mahtab hai koi
ho gaya jis ko wo hua tanha
ishq bhi ek azab hai koi
teri jaanib hi khinch lati hai
yaad jaise sarab hai koi
us ka KHamosh dekhna bhar hi
ek mukammal jawab hai koi
ji raha hai magar nahin jita
yun bhi KHana-KHarab hai koi
hae tahrir us ki aankhon ki
go ki mushkil kitab hai koi
tu mere samne rahe phir bhi
main samajhti hun KHwab hai koi
tishnagi aur baDhti jati hai
teri qurbat sarab hai koi

Ghazal
Dard ki ek kitab hai koi
Poonam Yadav