dard ki aankh se tere gham ka lahu
ban ke sailab bahne laga chaar-su
daman-e-dil jhaTak kar koi chal diya
gungunati rahi der tak aab-ju
KHushk shaKHon ne dharti ka gham kah diya
zard-patton ki bach hi gai aabru
bain karti hawaon ki aashuftagi
chhin kar le gai kawish-e-justuju
dekhne sogorwan-e-yusuf hamein
kitne paighambaron ki luTi aabru
phul apni tamazat se sanwla gae
lakh phaila raha daman-o-rang-o-bu
apni sanson pe yun bad-gumani si hai
koi kaTe badan to na nikle lahu
'mir'-ji wo mughanni kahan kho gaya
hum to ghum aae hain dar-ba-dar ku-ba-ku
Ghazal
Dard ki aankh se tere gham ka lahu
Jauhar meer