dard ke sip mein paida hui bedari si
raat ki rakh mein sulgi koi chingari si
dekhiye shahr mein kab baad-e-yaqin chalti hai
ku-ba-ku phaili hai auham ki bimari si
maut ka war to mein sah gaya hanste hanste
zindagi tu hi koi choT laga kari si
kya se kya ho gai mahaul ki lau mein jal kar
wo jo laDki nazar aati thi bahut pyari si
jitne muflis hain wo ek roz tawangar honge
ek afwah suni hai magar aKHbari si
Ghazal
Dard ke sip mein paida hui bedari si
Hazin Ludhianvi