dard ke daimi rishton se lipaT jate hain
aks rote hain to shishon se lipaT jate hain
hae wo log jinhen hum ne bhula rakkha hai
yaad aate hain to sanson se lipaT jate hain
kis ke pairon ke nishan hain ki musafir bhi ab
manzilen bhul ke raston se lipaT jate hain
jab wo rota hai to yak-laKHt meri pyas ke honT
us ki aankhon ke kinaron se lipaT jate hain
jab unhen nind panahen nahin deti hain 'asad'
KHwab phir jagti aankhon se lipaT jate hain
Ghazal
Dard ke daimi rishton se lipaT jate hain
Subhan Asad