اردو हिंदी
Dard kam hone laga aao ki kuchh raat kaTe | Shaahi Shayari
dard kam hone laga aao ki kuchh raat kaTe

Ghazal

Dard kam hone laga aao ki kuchh raat kaTe

Nasir Kazmi

;

dard kam hone laga aao ki kuchh raat kaTe
gham ki miad baDha jao ki kuchh raat kaTe

hijr mein aah-o-buka rasm-e-kohan hai lekin
aaj ye rasm hi doharao ki kuchh raat kaTe

yun to tum raushni-e-qalb-o-nazar ho lekin
aaj wo moajiza dikhlao ki kuchh raat kaTe

dil dukhata hai wo mil kar bhi magar aaj ki raat
isi be-dard ko le aao ki kuchh raat kaTe

dam ghuTa jata hai afsurda-dili se yaro
koi afwah hi phailao ki kuchh raat kaTe

main bhi be-kar hun aur tum bhi ho viran bahut
dosto aaj na ghar jao ki kuchh raat kaTe

chhoD aae ho sar-e-sham use kyun 'nasir'
use phir ghar se bala lao ki kuchh raat kaTe