dard ka samundar hai sirf par hone tak
ishq ki haqiqat ke aashkar hone tak
roz-o-shab ki gardish mein mahw-e-raqs rahte hain
KHak ke bagule hain bas ghubar hone tak
KHwahishon ki KHushbu mein KHwab KHwab phirte the
palki mein taron ki hum sawar hone tak
qurbaton ke jangal mein der kitni lagti hai
pairahan mohabbat ka tar tar hone tak
soch ki haweli mein ek sukut tari tha
muntazir nigahon ke be-qarar hone tak
aatish-e-gham-e-dil mein KHak ho gae hum to
rishta-e-mohabbat ke ustuwar hone tak
zindagi ke lahje ko ek umr lagti hai
dhup ki tamazat se saya-dar hone tak
ajnabi musafir the ham-safar rahe phir bhi
ek gurez hail tha e'tibar hone tak
paniyon ke sine par aaj bhi safine hain
sar-phiri hawaon ke sazgar hone tak
kitni maujen Duben-gi sahilon ke daman mein
qurbaton ki koshish mein raaz-dar hone tak
tha kamal-e-kuza-gar Dhaalta raha mujh ko
han 'farah' lage barson shah-kar hone tak
Ghazal
Dard ka samundar hai sirf par hone tak
Farah iqbal