اردو हिंदी
Dard ka kaisa rishta hai shahnai se | Shaahi Shayari
dard ka kaisa rishta hai shahnai se

Ghazal

Dard ka kaisa rishta hai shahnai se

Khursheed Ahmad Malik

;

dard ka kaisa rishta hai shahnai se
laDli beTi puchh rahi hai mai se

shadabi zaKHmon mein kaise aaegi
an-ban Thahri hai meri purwai se

aankhon ke pyale mein duniya rahti hai
us ko dekhunga man ki binai se

dasht ki jaanib nikla hai phir us ke sath
yusuf dhoka khaega phir bhai se

apne andar kafi Dub chuka hun main
niklun kaise jism ki gahri khai se

soch samajh kar us se baaten karta hun
parbat paida ho jata hai rai se

sunne wala koi nahin aata 'KHurshid'
shor lipaT kar rota hai tanhai se