اردو हिंदी
Dard ka jab tak maza hasil na tha | Shaahi Shayari
dard ka jab tak maza hasil na tha

Ghazal

Dard ka jab tak maza hasil na tha

Iram Lakhnavi

;

dard ka jab tak maza hasil na tha
dil kahe jaane ke qabil dil na tha

hae un majburiyon ko kya karun
main bhi KHud fariyaad ke qabil na tha

bhik rakh lo jo duaen de gaya
wo faqir-e-ishq tha sail na tha

o luTane wale gul-ha-e-karam
sab ka dil tha kya hamara dil na tha

jaan buri mushkil bhi hum ko ai 'iram'
wo bacha lete to kuchh mushkil na tha