dard ka aabshaar jari hai
tum bhi ho raat bhi tumhaari hai
subh ki nind waqt ki KHushbu
tum Thahar jao to hamari hai
teri har baat jabr ki paband
teri har baat iKHtiyari hai
kis ne ye faisla kiya hoga
kyun meri zindagi tumhaari hai
sher ke daKHli tarannum mein
ek sukun-KHez be-qarari hai
raat-din us ko yaad karta hun
waqt par jis ki shahryari hai
jagmagata hai aasman 'munir'
aur andhera gali pe tari hai

Ghazal
Dard ka aabshaar jari hai
Syed Muneer