dard jun shama mile hai shab-e-hijran mujh ko
kha gae ro-ro mere dida-e-giryan mujh ko
nau-bahaar aai mubarak hue jun ghuncha-o-gul
KHatir-jama tujhe haal-e-pareshan mujh ko
gar dam-e-subh shahidan-e-chaman sair karo
tegh-e-qatil hai dam-e-minnat-e-ehsan mujh ko
jun baghola hai mujhe KHajlat-e-isyan dam-e-faKHr
baal-e-parwaz hue dast-e-pasheman mujh ko
aaftab-e-dil-e-raushan diya sauda ne mujhe
subh-e-hadi hua ye chaak gareban mujh ko
dhun mein is chashm ki roun jahan nargis aage
sajda karte hain bayaban mein ghazalan mujh ko
musht-e-wahdat ho baghole sa karun apna tawaf
gardish-e-sar hua jam-e-mai-e-irfan mujh ko
dekh kar gal tere zulf ke halqe se hui
matla-e-subh-e-watan sham-e-ghariban mujh ko
puchha qumri se kisi ne tera hazir hai sarw
bol kyun karti hai kuku ki to afghan mujh ko
tab kahi sarw DhunDun hun main wafadari mein
tan mein rakhta hai wafa aa ke jila jaan mujh ko
zagh ko sar pe biThate hain main jal kar hui rakh
dozaKH is rashk se hai KHuld gulistan mujh ko
jam de saqi nau 'uzlat' ko ki jati hai bahaar
rowe hai fasl-e-gul-o-abr-e-bahaaran mujh ko
Ghazal
Dard jun shama mile hai shab-e-hijran mujhko
Wali Uzlat