dard jab se dil-nashin hai ishq hai
is makan mein kuchh nahin hai ishq hai
dekh dasht-e-yaad ka eajaz dekh
main kahin hun tu kahin hai ishq hai
thak ke baiTha hun jo kunj-e-zat mein
mehrban koi nahin hai ishq hai
jo azal se hijrati hain ashk hain
jo in ashkon mein makin hai ishq hai
ai sarab-e-jabr-o-istibdad sun
ye jo pyason ka yaqin hai ishq hai
kal jahan diwar hi diwar thi
ab wahan dar hai jabin hai ishq hai
KHwab hi mein dekh le tabir-e-KHwab
kaun aisa pesh-bin hai ishq hai
jite-ji dushwar kitna tha safar
ab na duniya hai na din hai ishq hai
ranj-o-gham ki surmai chadar 'taqi'
jab se baala-e-zamin hai ishq hai
Ghazal
Dard jab se dil-nashin hai ishq hai
Tauqeer Taqi