اردو हिंदी
Dard jab dil mein sama jata hai | Shaahi Shayari
dard jab dil mein sama jata hai

Ghazal

Dard jab dil mein sama jata hai

Laxmi Narayan Farigh

;

dard jab dil mein sama jata hai
lazzat-e-zist baDha jata hai

KHun-e-masum se diwaron par
gham ka afsana likha jata hai

ab to har jazba-e-bebak ka bhi
hausla past hua jata hai

jaane kyun mujh ko haya aati hai
war jab un ka KHata jata hai

gham-e-ayyam ka har ek manzar
shiddat-e-dard baDha jata hai

rafta rafta dil-e-diwana bhi
mahram-e-raaz hua jata hai

be-gunahon ka bhi ab to 'farigh'
jina dushwar hua jata hai