اردو हिंदी
Dard jab dastaras-e-chaaragaran se nikla | Shaahi Shayari
dard jab dastaras-e-chaaragaran se nikla

Ghazal

Dard jab dastaras-e-chaaragaran se nikla

Ghalib Ayaz

;

dard jab dastaras-e-chaaragaran se nikla
harf-e-inkar mohabbat ki zaban se nikla

zindagani mein sabhi rang the mahrumi ke
tujh ko dekha to main ehsas-e-ziyan se nikla

sab ba-asani mere KHwab ko paDh lete the
phir to main anjuman-e-dil-zadagan se nikla

jazba-e-ishq ne jab eDiyan apni ragDin
KHak uData hua ek dasht wahan se nikla

rozan-e-jism mein ek dard hua tha daKHil
aaKHir aaKHir main wo darwaza-e-jaan se nikla

muddaton tak meri taKHil amin thi us ki
aur ek din wo meri hadd-e-guman se nikla