dard is darja mile zabt mein kaamil hua main
us ko pane ki talab mein kisi qabil hua main
phone par baat hui us se to andaza hua
apni aawaz mein bas aaj hi shamil hua main
ro ke aksar main hansa hans ke main roya bhi agar
zindagi tujh mein to har rang mein shamil hua main
zindagi chain ki sab ko hi bhali lagti hai
kaise haalat the mere ki jo qatil hua main
dekhna chahunga main tujh ko qarib aur is se
aaj ke baad kabhi KHud ko jo hasil hua main
koi samjhe ya na samjhe inhen paDhne wala
sher kah kar ye kaThin KHud pe hi mail hua main
Ghazal
Dard is darja mile zabt mein kaamil hua main
Navneet Sharma