dard in dinon yun chehra-e-alam pe saja hai
har shaKHs ne jaise mera gham banT liya hai
har aan tere tan mein wo jadu sa racha hai
jo wasl ka lamha hai wo sahra ki ghaTa hai
ek umr ke baad aaj yakayak jo mile ho
wo sail-e-masarrat hai ki dil Dub gaya hai
wo baat jo sun pao to pahron tumhein taDpae
ek lamhe ki tanhai ne jo mujh se kaha hai
ho dost ki dil koi chhupae nahin chhupta
har choT ke pahlu mein ek aaina laga hai
jangal the junun-KHez hue shahr bhi viran
sannaTe mein har qarya-e-dil jag gaya hai
kya kis se gila kijiye KHud hum nahin apne
duniya ka 'zahir' in dinon kya haal hua hai
Ghazal
Dard in dinon yun chehra-e-alam pe saja hai
Zaheer Fatehpuri