اردو हिंदी
Dard-e-ulfat ke bayan ki na zarurat hogi | Shaahi Shayari
dard-e-ulfat ke bayan ki na zarurat hogi

Ghazal

Dard-e-ulfat ke bayan ki na zarurat hogi

Shola Kararvi

;

dard-e-ulfat ke bayan ki na zarurat hogi
mere chehre se ayan dil ki haqiqat hogi

kaun fariyaad karega kise jurat hogi
hashr mein pesh-e-nazar jab teri surat hogi

dastan-e-shab-e-hijran ki karun kya tashrih
muKHtasar bhi jo kahunga to tawalat hogi

pesh-e-dawar to karun KHun ka dawa lekin
mere qatil ko sar-e-hashr nadamat hogi

dard-e-hijran ke bayan ki nahin mujh ko hajat
un pe zahir dil-e-betab ki haalat hogi

is liye un ke qadam baDh nahin sakte aage
rahguzar mein kisi nashad ki turbat hogi

dagh-e-ulfat hain wahi phul ki rafta rafta
jin se kashana-e-dil ki mere zinat hogi

zindagi qalb ki harakat hi se wabasta hai
dil jo Thahrega to ek aur qayamat hogi