dard-e-jigar KHud apni dawa ho aisa bhi ho sakta hai
yun hi kitab-e-zar mein likha ho aisa bhi ho sakta hai
hijr ki raat mein sham-e-shabistan had se baDh kar raushan thi
is hangam mein dil bhi jala ho aisa bhi ho sakta hai
roz-e-azal jo ahd kiya tha insan ne wo sach hi tha
bar-e-amanat uTh na saka ho aisa bhi ho sakta hai
kahan nasheman dil ka banaen uljhan bhi hai aur Dar bhi
KHud hi shikasta shaKH-e-wafa ho aisa bhi ho sakta hai
harf-e-wafa ki koi waqat duniya ki nazron mein nahin
harf-e-wafa hi jhuT kaha ho aisa bhi ho sakta hai
husn-o-ishq ki lag mein aaKHir kis ko mujrim Thahraen
dil ka daman chaak hua ho aisa bhi ho sakta hai
bahr-etamanna se 'rahi' aai hai sada-e-gharqabi
dil ka safina Dub raha ho aisa bhi ho sakta hai
Ghazal
Dard-e-jigar KHud apni dawa ho aisa bhi ho sakta hai
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi