dard-e-hayat-e-ishq hai naghma-e-jaan-gudaz mein
gharq hai sari kaenat lazzat-e-soz-o-saz mein
shauq ka haal kya hua dil ka maal kya hua
ek jahan-e-raaz hai dida-e-dil-nawaz mein
kaif-e-KHud-agahi bhi hai aalam-e-be-KHudi bhi hai
shauq-e-supurdagi bhi hai aaj nigah-e-naz mein
pichhle pahar jo husn ke ruKH se haTen KHunuk laTen
jag uTha naya fusun chashm-e-fusun-taraaz mein
aah wo aalam-e-shabab hae wo nashsha-e-sharab
jhalka hua wo rang-e-KHwab nargis-e-nim-baz mein
Ghazal
Dard-e-hayat-e-ishq hai naghma-e-jaan-gudaz mein
Ram Krishn Muztar