dard-e-furqat ko kya kare koi
hae aadat ko kya kare koi
dil ki hasrat ko kya kare koi
is musibat ko kya kare koi
pyar karne se aar hai to kaho
achchhi surat ko kya kare koi
doston ko to rokun shoKHi se
sari KHilqat ko kya kare koi
chashm-o-dil se chhupaun dard-e-nihan
rang-e-surat ko kya kare koi
apne dil ka to KHun kar Dalun
un ki surat ko kya kare koi
un ka farman hai ki aah-o-fughan
ma-badaulat ko kya kare koi
nasehon ko salam bhi kar lun
us nasihat ko kya kare koi
aarzu hai to KHauf bhi kuchh hai
pak niyyat ko kya kare koi
tujh mein jo baat chahiye wo nahin
le ke surat ko kya kare koi
wo KHafa hon to main KHata kar lun
chheD hujjat ko kya kare koi
mehrban hain janab-e-dil us par
aise hazrat ko kya kare koi
meri taqrir mein to hai tasir
teri sohbat ko kya kare koi
nam bhi un ka hum nahin lete
ab shararat ko kya kare koi
ai safi' wo bigaD gae man kar
teri qismat ko kya kare koi

Ghazal
Dard-e-furqat ko kya kare koi
Safi Aurangabadi