dard-e-firaq dil se juda ho to jaaniye
is ka ilaj is ki dawa ho to jaaniye
go nama-bar ko naz hai apne bayan par
paigham-e-shauq us se ada ho to jaaniye
dard-e-firaq had se guzar kar Thahar gaya
kam ho to jaaniye jo siwa ho to jaaniye
kya aap puchhte hain mere dil ka majra
aisi hi aap par bhi jafa ho to jaaniye
jo gham mujhe hain aap unhen ai janab-e-'nuh'
kya jaaniye dil us ko diya ho to jaaniye
Ghazal
Dard-e-firaq dil se juda ho to jaaniye
Nooh Narvi