dard-e-dil zaKHm-e-jigar ka raazdan koi nahin
waqif-e-asrar-e-gham aazar-e-jaan koi nahin
pas jis ke kuchh nahin mal-o-mata-e-be-baha
us ko kya gham ki muhafiz pasban koi nahin
kya suluk ham-sae ka batlae ek KHana-ba-dosh
be-dar-o-diwar sa jis ka makan koi nahin
dad ke laeq amir-e-shahr hi ki zat hai
kyunki ab footpath par bhi be-aman koi nahin
KHana-e-dil tak mere koi gaya to hai zarur
naqsh pa ka chhoDa hai lekin nishan koi nahin
rose kuchh aise guzarte is jahan se hain zarur
hae jis ka rone wala nauha-KHwan koi nahin
aabru allah ne 'KHushtar' jabin ki rakkhi hai
jis ka is dar ke siwa hai aastan koi nahin
Ghazal
Dard-e-dil zaKHm-e-jigar ka raazdan koi nahin
Mansoor Khushtar